Menu
blogid : 10234 postid : 42

Shiksha ka star

Meri tanhayi
Meri tanhayi
  • 85 Posts
  • 124 Comments

Nayi sadi me Hindustaan ke shiksha ka star badha hai aur pahle se kafi jyada yuva ab professional ho kar yaha se desh-videsh me apni dhaak jama rahe hain. Magar isi ke sath badhti sikshit berojgari bhavisya ki vikraal samasya ka roop leni ki taraf agrasar prateet ho rahi hai. Ek taraf menhge Convent school ke padhe likhe bacche hain to dusri taraf gaon-dehaat ke sarkari schoolo ke bacche. In dono maadhyam me badhti khaai ko kam karne ki jarurat hai. Sath hi sarkari schoolo ke gaon ke padhe yuvaon ko gaon ke vikaas se sambandhit rojgar me laga kar shaher ki taraf bhagti yuva shakti ka palaayan roka ja sakta hai, vikaas ki aseem sambhaavna ke sath hi computer siksha, praudh siksha, gaon me paye jane wale sansaadhano ka vyavsaayik upyog aadi is tarah ke kaaryakram hain jinme sarkaar ki taraf se kiye ja rahe prayaas jaha naakaam sabit hote dikhayi de rahe hain wahin gaon ki yuva shakti gaon me hi rahkar yadi rojgaar pane lagegi to nagaro me jansankhya dabaav bhi kam hoga jis se badhta asantulan rukega. Is se badhta apraadh bhi kam hoga kyun ki agar berojgaro ko rojgaar me vyast kar diya jaye to majburi mr kiye gaye apraadh band ho hi jayenge. Matsya paalan, murgi, suwar, bhains, gaye jaise dudharu janwaro ka paalan agar sarkaar acche dhang se protsahit kare to bhi kafi berojgari ghategi. Mera to ye maan-na hai ki har shaheri vyakti ki jade gaon se judi huyi hain, yani hum log kabhi na kabhi gaon se palaayan kar ke shaher aa gaye, humari dekha dekhi baki log bhi idhar ka hi rukh kar rahe hain, ek kaaran aur bhi samajh me aata hai ki shahero me log dikhawa pasand sanskriti jyada pasand karte hain, sukh suvidha aur vilaasita pe jyada kharch karte hain jabki gaon me 100-50 beeghe kheti rakhne wala bhi sadharan vesh bhsha me rahta hai. Waha ka karodpati bhi cycle se chalta hai to yaha ke log Loan le ke chaarpahiya pe ghumte hain jis se grameen logo ko lagta hai ki City me bahut paisa hai, jabki kisaano ko sirf mehnat hi jyada karni padti hai aur thoda sa kismat pe bharosa karna hota hai baarish wagairah ke mausam par nirbharta ke chalte, na to unko koi income tax dena hota hai na hi gaon me City ki tarah jyada kharche hi hote hain. Bas City ki chakaachaundh unko aakarshit kar jati hai. Agar gaon me bhi kam se kam 20 ghante bizli ho aur sadak, pani jaisi jarurat ki cheeze ho to wo apna gaon chhodkar nahi jayenge.Ab rahi shaheri yuvaon ke rojgaar ki baat to yaha ki samsya jyada vikraal roop leti ja rahi hai. Ek to aawasiya kshetrafal utna hi hai aur jansankhya lagaatar badhti hi jayegi, dusra jyadatar berojgaar degree dhaarak hain ya technical hand hain. Sabhi ko ek sath rojgaar dena naamumkin hai magar is disha me prayaas to shuru ho jis se visfotak sthiti se bacha ja sake. Naye kaarkhano ki jarurat hai sath hi is tarah ki rojgaar parak shiksha bhi honi chahiye jis se padha likha yuva khud ka rojgaar bhi sthapit karna chahe to use koi pareshani na ho. Aane wale 10-20 saal me jo samsya saamne aayegi uske liye agar abhi se yojnabaddh tareeke se kaam kiya jaye to samsya puri had tak na sahi lekin kaafi had tak khatm ho jayegi. Jaise aajkal log paan masaala jyada kha rahe hain to is se aane wale waqt me Dental Clinics ki kami honi hi hai. Isi tarah se jis tarah ke profesnol logo ki kami chal rahi hai waisi training de kar aane wale samay ki samsya ka niraakran kiya ja sakta hai.Sarkaar agar Kuchh nahi karti to yuvaon ko khud aage badhkar apne samaaj aur desh ke liye aise kaam karne hi honge jis se unko aamdani ke sath auro ko margdarshan aur samaaj kalyaan bhi ho sake.Sahi hai na?

Tags:               

Read Comments

    Post a comment

    Leave a Reply